Zaruri to nahi jine ke liye Sahara ho, Zaruri to nahi hum jinke hai who humara ho, Kuch kashtiya doob bhi jaya karti hai, Zaruri to nahi har kashti ka kinara ho..
-----------------------------------
Motiyon mein piroyi hui sapno ko tut te dekha Maut ko bhi maine kaphi nazdeek se dekha Apne ko aaj maine beganaa hote dekha Mehboob ko bhi pal mein bewafaa bante dekha-Hassan
-----------------------------------
Chaar din ka hasna tha zindagi bhar ka rona jholi paa beithe hum kahan zaalim duniya ki baaton mein aa beithe aaj fir tadpe dil uski yaad mein najane kyun aaj fir uski yaad ke moti palko pe saja beithe-Hassan
-----------------------------------
Honto pe tumhare hamara naam tak na aaye mein milne aau par tu bahar na aaye anjaan hai hamare pyar se vo ab tak ya shayad hum jaiso pe unko taras na aaye-Hassan
-----------------------------------
Maang lenge tujhe apne khuda se hum cheen lenge tumhe har kisi se hum mere siva tum pe haq nahin kisi ka na karna bewafai mujh se kabhi varna duniya chod denge hum-Hassan
-----------------------------------
Nahin sunta koi toote hue dil ki fariyaad chod gaye aaj vo hi jisse kiya har pal dil se yaad ae mehboob tehar ja saath, aankho ki barsaat tham jane tak kya pata fir rahe na rahe hum tere aane tak-Hassan
-----------------------------------
Dard jigar mein uttha hai, koi marham lagane vala nahin aag lagti hai dil mein, koi bujhaane vala nahin kis se umeed rakhe hum iss bhare jahan mein har kisi ne rulaaya iss qadar, koi hansaane vala nahin-Hassan
-----------------------------------
SAZAA denewale Humse RAZA poochte hai.. Jab Jee Rahe hai to jeene ki wajah Poochte hai.. Dete hai khudi humko ZEHER.. Aur kitna hai Asar ye poochte hai ....
------------------------------------
Kuch hain jo bolkar apni baat samne rekhte hain Hum hain jo aankhon se izhaar karte hain Humein adat hai kinare aakar nao doobane ki
Woh hain, ki toofan main bhi samandar paar kiya karte hain-Hassan
------------------------------------
Ik boond sharab mein tumhaari nasha dontha ho, Isi bahane hum har roz ek mehfil doontha hoon, Bewaffai ka zakhm to chupalaete hain yaaro, Par un yaadon keliye ek kafan doontha hoon"
*******************************************
No comments:
Post a Comment